Home
Poetry SMS - (Love, Sad, Broken Heart, Romantic) Poetry SMS
New & Fresh Poetry SMS, Urdu / Hindi Poetry SMS, English Poetry SMS, Love & Romantic Poetry SMS, Sad & Broken Heart Poetry SMS, Poetry SMS Collection


.
Latest Free SMS Jokes & Text Messages
.

Poetry SMS - Free Text Messages, Quotes



  • Yadon Me Teri Yaad

    yado me teri yad thi,
    kia yad thi kuch yad nahi,
    teri yad me sab bhol gaye,
    kia bhol gaye kuch yad nahi,
    yad ho tum sirf yad ho tum,
    q yad ho kuch yad nahi.
  • WO MUJHE SEENEY SE LAGA KAR ROI

    MAIN KISI AUR KI HOON ITNA BATA KAR ROI,
    WO MUJHE MEHNDI LAGEY HATH DIKHA KAR ROI,,,
    UMAR BHAR KI JUDAI KA KHAYAL AYA THA,
    WO MUJHE PAS APNE BITHA KAR ROI,,,
    KHAT KITABEIN WO PYAR K TOHFEY,
    MOHABBAT KI SAB NISHANIYAN JALA KAR ROI,,,
    TUMHARI DI HUI SAB CHEEZEIN UTAR LI GAYEIN,
    WO MUJHE SEJ PE SAJEY ZEVAR DIKHA KAR ROI,,,
    AB K NA SAHI ZARUR HASHAR MAIN MILEINGEY,
    YAKJA HONEY K DILASEY DILA KAR ROI,,,
    MUJHSE ZIYADA GHAM BICHARNEY KA USEY THA,
    WAQT-E-RUKSAT WO MUJHE SEENEY SE LAGA KAR ROI
  • Jaan Kis Ko Dain

    Ajeeb Kashmakash
    Thi K JAAN Kis Ko Dein.
    Woh Bhi Aa Bethay Thay
    Aur MOUT Bhi.
  • Hina ka Rung Hon Main

    Hina ka Rung Hon Main, Hath pe to Aaon ga.
    Uter Gaya to Mehek Apni Chhor Jaon ga.
    Ghazal ka Shair Hon, Dil ki Kitaab mein likh lo.
    Bhula Diya to Kabhi Yaad Bhi na Aaon ga.
    Tera he Ashq-e-Tamana Hon, Rok lo Mujh ko.
    Main ek Din Teri Palkon pe Jagmagaon ga.
    Khaloos-e-Dil se Sada di Agar kisi ne Mujhe.
    Gayi Bahaar ki Tarah lot Aaon ga.
    Dilon ka Dard Agar koi na samjha RAHAT!
    Main Pathron k Zamaney Main Lot Jaonga.
  • Main Azal se tak raha hoon

    Wohi Muntazir nigahein, Wohi Sham-e-gham ka aalam,
    Main Azal se tak raha hoon teri waapsi ki rahein.!!!...........
  • Kch Khd B Thy Afsurda Se

    Kuch Khud Bhi Thay Afsurda se
    Kuch Tum bhi Hamse Rooth gaye
    Kuch Khud Bhi Zakham k Aadi thay
    kuch Sheeshay hath se Choot gaye
    Kuch khud Bhi thay Hassas bohat
    Kuch Apnay Muqadar Roth gaye
    Kuch tumko Such se Nafrat thi
    Kuch Hamse Bolay na Jhoot gaye
    Kuch logon ne Uksaya Tumhen
    Kuch Apnay Muqadar Phoot gay
    Kuch khud itnay Muhtaat na thay
    Kuch Log bhi Hum ko Loot gaye
    Kuch Talkh Haqaaiq thay itnay
    K khwab hi Saray Toot gaye.
  • Tere Haseen Tasavur ka

    Tere Hasin Tasavur ka Aasra lekar
    Dukhon k Kante Main sare Samet leta hun.
    Tumara Naam he kafi h Rahat-e-Jaan ko
    Ghamon ki Taiz Hawaon ko Morr deta hn.
  • Masoom mohabbat ka

    Masoom Mohabbat ka bas itna Fasana hay,
    Kaghaz ki Hawaili hay aur Baarish ka Zamana hay...
    Kya shart-e-mohabbat hay, kya shart-e-zamana hay,
    Awaz bhi Zakhmi hay aur Geet bhi gaana hay...
    Us paar utarnay ki Umeed bohat kam hay,
    Kashti bhi Puraani hay aur Toofan ko bhi aana hay...
    Samjhay ya na samjhay wo Andaaz Mohabbat kay,
    Aik shakhs ko Aankhon say Shair sunana hay...
    Bholi si Adaa koi phir 'Ishq' ki, zidd par hay,
    Phir 'Aag ka Darya' hay aur 'Doob' kay jana hay...!!!
  • Woh ajeeb shaam thi

    Main tumharay aks ki aarzoo mein bass aayina hi bani rahi
    Kabhi tum na samnay aa sakay, kabhi mujh pay gard pari rahi
    Woh ajeeb shaam thi,aaj tak meray dil mein uss ka malal hai
    Meri tarah jo teri muntazir, teray rastay mein khari rahi
    Kabhi waqf-e-hijr main ho gaei,kabhi khwab-e-wasl mein kho gaei
    Main faqeer-e-ishq bani rahi, main aseer-e-yaad huwi rahi
    Bari khamshi say sarak kay phir meray dil kay gird lipat gaei
    Woh rida-e-abr-e-sfed jo sar-e-kohsar tani rahi
    Huwi uss say jabb meri baat bhi,thi shareek-e-dard woh zaat bhi
    To na janay kon si cheez ki meri zindgi mein kami rahi
  • Yeh Fakhar Toh Haasil hay

    Yeh Fakhar Toh Haasil hay , Buray hayn k Bhalay hayn
    Do Chaar Qadam Hum bhi Teray Saath chalay hayn
    Jalna toh Chiraghon ka Muqaddar hay Azal se
    Yeh Dil k Kanwal hayn k Bujhay hayn na Jalay hayn
    Thay kitnay Sitaray k Sirr e Shaam hi Doobay
    Hungaam e Sehar Kitnay hi Khursheed Dhalay hayn
    Jo Jhayl Gaye Hans k karri Dhoop k Tewar
    Taaron ki Khunak Chaon mayn Woh Log Jalay hayn
    Ek Shama Bujhayee Toh Kayee Aur Jala Leen
    Hum Gardish e doraan se bari Chaal Chalay hayn
    (Adaa Jaffery)
Previous page 1 2 3 4 ... 41 Next page
404 entries

Subscribe to RSS Adult SMS, Funny SMS, Faraz SMS, Send Free SMS
Subscribe to RSS

Subscribe to RSS

Enter your email to join

5500+ subscribers and

receive daily FREE SMS

.

Send Free SMS

.

My Zimbio
Entertainment Blogs